Aarav.

Aarav un ladkon me se nahi tha
jo college life ko sirf masti aur style me jeete hain.
Uske chehre pe hamesha ek calm expression hota,
aur aankhon me ek ajeeb si depth...
jaise unme unsuni kahaniyan chhupi ho.
Bachpan se hi uski life struggle ka doosra naam thi.
Family support? Bilkul zero.
Fees bharne ka tension, hostel ka rent,
aur roj ka kharcha-sab kuch uske khud ke kandho par tha.
Din me woh college ka ek regular student lagta,
aur raat ko part-time jobs me busy.
Kabhi library me assistant,
kabhi café me late-night shifts.
Har mahine ka ek-ek paisa woh soch samajh kar kharch karta,
kyunki uske liye har coin sapno ka ek tukda tha.
Par itni mushkilon ke bawajood,
Aarav ka dil soft aur samajhdaar tha.
Woh un logon me se tha
jo bas do sachhe lafz aur ek muskaan se
kisi ka din badal de.
College me koi bhi jab uske paas apni problem share karta,
lagta jaise uski baat sunke hi bojh halka ho gaya ho.
Log aksar kehte,
"Yaar, Aarav se baat karke lagta hai jaise duniya thodi easy ho gayi."
Aarav ki duniya chhoti thi,
lekin uske sapne bade the...
Aur shayad usse bhi nahi pata tha
ki uski zindagi ka sabse khoobsurat chapter
abhi likha hi nahi gaya tha.
Aur phir...
ek din, woh chapter shuru hua,j
ab usne pehli baar Meera ko dekha.
Meera.

Meera College ki sabse innocent aur pyari ladki.
Uske chehre pe ek aisi natural glow thi
ki jo bhi use dekhta, ek pal ke liye rukh jaata.
Uske khule baal,
jinke ek-do strands aksar uske soft gaalon ko chhu lete,
aur phir woh unhe halki si sharmili muskaan ke saath side kar deti...
Bas wahi pal kisi ka bhi dil chura le.
Meera bhi ek shant aur introvert si ladki thi.
Sab se pyaar se baat karti,
chhoti chhoti baatein share karti,
lekin apne dil ke baare me kabhi kuch nahi batati.
Uske ghar ke bhi kuch masle the,
jinke baare me college me kisi ko kuch nahi pata tha.
Uske muskaan ke peeche ek chhupi udaasi thi,
jo sirf wahi mehsoos kar sakta tha
jiske dil me khud bhi ek khamoshi ho.
Aur shayad isi liye,
jab Aarav ki nazar pehli baar Meera par padi,
toh uske liye duniya ek pal ke liye slow-motion me chali gayi.
Usne bas itna mehsoos kiya-
"Ye ladki... kuch alag hai."
Shayad Meera ne bhi uski aankhon me wohi khamosh dard aur sukoon mehsoos kiya,
jo uske khud ke dil me tha.
Campus ke shor,
students ki bheed,
aur dosti ki hasi ke beech...
bas ek pal ke liye
do khamosh duniyaein
ek dusre se takra gayi.
Aur shayad yehi pal tha,
jahan se ek nayi kahani shuru hui...
jo un dono ki zindagi hamesha ke liye badal dene wali thi.....!
Write a comment ...